Murda Bole Kafan Phare Meaning in Hindi
यह एक कहावत है जो कि उत्तर भारत के हिंदी तथा पंजाबी भाषी इलाकों में बोली जाती है इस कहावत का अर्थ होता है कि जब भी कोई मूर्ख व्यक्ति बात करता है तो वह मूर्खता भरी बातें करता है और जब मूर्ख व्यक्ति कोई कार्य करता है तो वह मूर्खता भरा कार्य ही करता है। इसमें मूर्ख व्यक्ति को एक मृत/ मुर्दा व्यक्ति की संज्ञा देकर बताया गया है कि जब भी मुर्दा व्यक्ति बोलने की कोशिश करेगा तो वह सबसे पहले कफ़न ही फाड़ेगा। क्योंकि एक मुर्दा लाश को कफ़न में बांध रखा जाता है और यदि वह बोलने का कोई प्रयास करेगा तो वह कफन फाड़ने के बाद ही बोल सकेगा। यह पंक्ति एक कटाक्ष है तथा केवल कटाक्ष करने हेतु ही प्रयोग की जाती है।
आमतौर पर इस पंक्ति का प्रयोग उन व्यक्तियों के लिए किया जाता है जो समय की नजाकत को ना समझते हुए कहीं पर भी कुछ भी बोल देते हैं तथा उन्हें नहीं पता होता कि यह बात यहां बोलनी उचित होगी या नहीं। इसलिए यदि कोई स्थिति के विरोधाभास में कोई बात बोल देता है तो उसके लिए कहा जाता है कि “मुर्दा बोले कफन फाड़े”
Murda Bole Kafan Phare Meaning in Romanized Hindi
Yah ek kahavat hai jo ki uttar Bharat ke Hindi tatha Punjabi bhashi ilaakon mein boli jaati hai. Is kahavat ka arth hota hai ki jab bhi koi moorkh vyakti baat karta hai toh vah moorkhata bhari baatein karta hai, aur jab moorkh vyakti koi karya karta hai toh vah moorkhata bhara karya hi karta hai. Ismein moorkh vyakti ko ek mrut/murda vyakti ki sanjna dekar bataya gaya hai ki jab bhi murda vyakti bolne ki koshish karega toh vah sabse pehle kafan hi faadega. Kyunki ek murda lash ko kafan mein bandh rakha jata hai, aur yadi vah bolne ka koi prayas karega toh vah kafan faadne ke baad hi bol sakega. Yah pankti ek kataksh hai tatha keval kataksh karne hetu hi prayog ki jati hai.
Aamtaur par is pankti ka prayog un vyaktiyon ke liye kiya jata hai jo samay ki najakat ko na samajhte hue kahin par bhi kuchh bhi bol dete hain, tatha unhein nahi pata hota ki yah baat yahan bolni uchit hogi ya nahi. Isliye yadi koi sthiti ke virodhabhas mein koi baat bol deta hai toh uske liye kaha jata hai ki “Murda bole, kafan faade.”
